KHushbu-e-pairahan Se Sulagte Rahe Dimagh

KHushbu-e-pairahan se sulagte rahe dimagh

aai shab-e-firaq to gul ho gae charagh

dil ki lagi bhaDak ke nigahon tak aa gai

palkon pe sham-e-wasl jalae hain dil ke dagh

us chashm-e-mai-farosh se hangam-e-naw-nosh

phuTa wo sail-e-nur ki lau de uThe ayagh

wo gul khilen ki jin ki mahak la-zawal ho

is ek din mein hum ne sajae hain kitne bagh

aaKHir khula ki tu hai mere ghar ki raushni

yun to tere baghair bhi jalte rahe charagh

jab chashm-o-dil bujhe to shabistan-e-shauq mein

hum ne hatheliyon pe jalae hain shab charagh

jo wadi-e-jamal mein gum ho gae 'jamil'

apni talab ke sath hi un ka bhi kuchh suragh

(943) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHushbu-e-pairahan Se Sulagte Rahe Dimagh In English By Famous Poet Jameel Malik. KHushbu-e-pairahan Se Sulagte Rahe Dimagh is written by Jameel Malik. Read famous Poem KHushbu-e-pairahan Se Sulagte Rahe Dimagh for youth and Student by Jameel Malik. Free Download KHushbu-e-pairahan Se Sulagte Rahe Dimagh in PDF.