Mera Jazba Ki Jo KHud-fahm Hai KHud-kaam Nahin
mera jazba ki jo KHud-fahm hai KHud-kaam nahin
puKHta maghzan-e-junun ki hawas-e-KHam nahin
saf kahta hun kinaya nahin ilham nahin
kya ho aaram se duniya tujhe aaram nahin
thak gae kya mah-o-anjum ke shikari tere hath
aaj kyun ek sitara bhi tah-e-dam nahin
tirgi waqt ki simTi hui ek KHal mein hai
zehn ek haal mein hai subh nahin sham nahin
din jawani ka Dhala yani hui sham magar
tum wo suraj ho ki jis par asar-e-sham nahin
kya kare qais ki hai dhup hi sahra ki pasand
saya-e-gesu-e-laila mein bhi aaram nahin
'mazhari' moatakif-e-hujra-e-inkar to hai
'mazhari' be-KHabar-e-kulfat-e-ayyam nahin
(897) Peoples Rate This