Aadam-e-nau Ka Tarana-e-safar

fareb khae hain rang-o-bu ke sarab ko pujta raha hun

magar nataej ki raushni mein KHud apni manzil pe aa raha hun

jo dil ki gahraiyon mein subh zuhur-e-adam se so rahi thin

main apni fitrat ki un KHuda-dad quwwaton ko jaga raha hun

main sans leta hun har qadam par ki bojh bhaari hai zindagi ka

Thahar zara garm-rau zamane ki main tere sath aa raha hun

jahaz-ranon ko bhi tajjub hai mere is azm-e-mutmain par

ki aandhiyan chal rahi hain tund aur main apni kashti chala raha hun

tilism-e-fitrat bhi muskuraata hai meri afsun-taraaziyon par

bahut se jadu jaga chuka hun bahut se jadu jaga raha hun

ye mehr-e-taban se koi kah de ki apni kirnon ko gin ke rakh le

main apne sahra ke zarre zarre ko KHud chamakna sikha raha hun

mera taKHayyul mere irade karenge fitrat pe hukmarani

jahan farishton ke par hain larzan main us bulandi pe ja raha hun

ye wo gharaunde hain jin pe ek din paDegi buniyaad-e-qasr-e-jannat

na samjhen sukkan-e-bazm-e-ismat ki main gharaunde bana raha hun

ye naz-parwardagan-e-sahil Daren Daren meri garm rau se

ki main samundar ki tund maujon ko raundta pas aa raha hun

(1772) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aadam-e-nau Ka Tarana-e-safar In English By Famous Poet Jameel Mazhari. Aadam-e-nau Ka Tarana-e-safar is written by Jameel Mazhari. Read famous Poem Aadam-e-nau Ka Tarana-e-safar for youth and Student by Jameel Mazhari. Free Download Aadam-e-nau Ka Tarana-e-safar in PDF.