Shaer Ki Tamanna

agar is gulshan-e-hasti mein hona hi muqaddar tha

to main ghunchon ki muTThi mein dil-e-bulbul hua hota

gunahon mein zarar hota, duaon mein asar hota

mohabbat ki nazar hota, hasinon ki ada hota

farogh-e-chehra-e-mehnat, ghubar-e-daman-e-daulat

nam-e-peshani-e-ghairat, KHam-e-zulf-e-rasa hota

hua hota kisi dastar-e-kaj par phul ki tarah

aur us dastar-e-kaj ki tamkanat par hans raha hota

kisi maghrur ki gardan pe hota bojh ehsan ka

kisi zalim ke dil mein dard ho kar la-dawa hota

kisi munim ke chehre par KHushi hajat-rawai ki

kisi nadar ki nazron mein sharm-e-iltija hota

kisi bhaTke hue rahi ko deta dawat-e-manzil

bayaban ki andheri shab mein jogi ka diya hota

kisi ke kalba-e-ahzan mein sham-e-muzmahil ban kar

kisi bimar muflis ke sirhane ro raha hota

sharar ban kar kisi nadar ghar ke sard chulhe mein

ba-sad ummid-e-farda zer-e-KHakistar daba hota

yatim-e-be-nawa ki rah-guzar par ashrafi ban kar

laim-e-faqa-kash ki jeb-e-mumsik se gira hota

niystan se nikal kar hasrat-abaad-e-tamaddun mein

gada-e-pir o na-bina ke hathon ka asa hota

shikasta jhonpaDe mein bansuri-e-dahqan ki sur ban kar

sukut-e-nim-shab mein raaz-e-hasti kah raha hota

gharaz is hasrat-o-andoh-o-yas-o-gham ki basti mein

kahin daur-afrin hota, kahin dard-ashna hota

Duboya mujh ko hone ne ba-qaul-e-ghaalib-e-dana

na tha kuchh to KHuda tha, kuchh na hota to KHuda hota

(1099) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shaer Ki Tamanna In English By Famous Poet Jameel Mazhari. Shaer Ki Tamanna is written by Jameel Mazhari. Read famous Poem Shaer Ki Tamanna for youth and Student by Jameel Mazhari. Free Download Shaer Ki Tamanna in PDF.