Har Samt Rang-o-nur Ka Dariya Dikhai De

har samt rang-o-nur ka dariya dikhai de

har mauj-e-rang mein tera chehra dikhai de

har aaine mein tera sarapa dikhai de

koi to is jahan mein apna dikhai de

tai kis tarah ho jada-e-nairang-e-arzu

har gam tera naqsh-e-kaf-e-pa dikhai de

kirnen gurez-pa hain to KHushbu bahana-ju

ai kash koi apna shanasa dikhai de

ek daman-e-nazar ki bachana muhaal hai

ek shoala-e-badan ki lapakta dikhai de

duniya-e-rang-o-nur bahut be-karan sahi

pesh-e-nazar jo tu hai to phir kya dikhai de

(798) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Samt Rang-o-nur Ka Dariya Dikhai De In English By Famous Poet Jameel Yusuf. Har Samt Rang-o-nur Ka Dariya Dikhai De is written by Jameel Yusuf. Read famous Poem Har Samt Rang-o-nur Ka Dariya Dikhai De for youth and Student by Jameel Yusuf. Free Download Har Samt Rang-o-nur Ka Dariya Dikhai De in PDF.