BhaTke Hue Aali Se Puchho Ghar Wapas Kab Aaega

bhaTke hue aali se puchho ghar wapas kab aaega

kab ye dar-o-diwar sajenge kab ye chaman lahraega

sukh chale wo ghunche jin se kya kya phul ubharne the

ab bhi na un ki pyas bujhi to ghar jangal ho jaega

kam kirnen aisi hain jo ab tak rah usi ki takti hain

ye andhiyara aur raha to phir na ujala aaega

samjha hai apne-ap se chhuT kar sara zamana dekh liya

dekhna! apne-ap mein aa kar ye kya kya sharmaega

aisi gyan aur dhyan ki baaten hum jaane-pahchanon se

tu aaKHir bhula hi kya tha tujh ko kya yaad aaega

kuchh chhoTe chhoTe dukh apne kuchh dukh apne azizon ke

in se hi jiwan banta hai so jiwan ban jaega

chaar baras se begane hain so hum kya begane hain

ruThne wala jiwan-sathi do din mein man jaega

kis kis rag ke kya kya sur hain kis kis sur ke kya kya rag

sikhe na sikhe gane wala be-sikhe bhi gaega

'ali'-ji ab aap chalo tum apne bojh uThae

sath bhi de to aaKHir pyare koi kahan tak jaega

(777) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BhaTke Hue Aali Se Puchho Ghar Wapas Kab Aaega In English By Famous Poet Jameeluddin Aali. BhaTke Hue Aali Se Puchho Ghar Wapas Kab Aaega is written by Jameeluddin Aali. Read famous Poem BhaTke Hue Aali Se Puchho Ghar Wapas Kab Aaega for youth and Student by Jameeluddin Aali. Free Download BhaTke Hue Aali Se Puchho Ghar Wapas Kab Aaega in PDF.