Kuchh Din Guzre Aali-sahib Aali-ji Kahlate The

kuchh din guzre 'ali'-sahib aali-ji kahlate the

mahfil mahfil qarya qarya sher sunate jate the

qadr-e-suKHan hum kya jaanen han rang-e-suKHan kuchh aisa tha

achchhe achchhe kahne wale apne pas biThate the

ghazlon mein sau rang mila kar apna rang ubhaara tha

ustadon ke sae mein kuchh apni rah banate the

giton mein kuchh aur na ho ek kaifiyat si rahti thi

jab bhi misre raqsan hote mani saz bajate the

dohe kahne aur paDhne ka aisa tarz nikala tha

sunne wale sar dhunte the aur pahron paDhwate the

samne baiThi sundar naren aap talab ban jati thin

pardon mein se farmaish ke sau sau parche aate the

ghazlen dohe git ki shohrat mulk se bahar phaili thi

hindostan se aane wale tohfon mein le jate the

ahl-e-hunar ki KHosha-chini un ko wajh-e-saadat thi

be-hunaron mein apni ana ka parcham bhi lahraate the

phir dekha ki bachcha bachcha hansta tha aur 'ali'-ji

farden likhte maslen paDhte baiThe gilD chalate the

(844) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Din Guzre Aali-sahib Aali-ji Kahlate The In English By Famous Poet Jameeluddin Aali. Kuchh Din Guzre Aali-sahib Aali-ji Kahlate The is written by Jameeluddin Aali. Read famous Poem Kuchh Din Guzre Aali-sahib Aali-ji Kahlate The for youth and Student by Jameeluddin Aali. Free Download Kuchh Din Guzre Aali-sahib Aali-ji Kahlate The in PDF.