Har Tar-e-nafas Khaar Hai Malum Nahin Kyun

har tar-e-nafas KHar hai malum nahin kyun

aasan bhi dushwar hai malum nahin kyun

sau bar marun aur jiyun tab unhen paun

dil is pe bhi tayyar hai malum nahin kyun

sau tarah ke aaram mayassar sahi lekin

dil jine se bezar hai malum nahin kyun

jo lazzati-e-jaur-o-jafa tha usi dil par

ek shoKH-nazar bar hai malum nahin kyun

ek bar mili un se nazar pi nahin koi

phir bahki si raftar hai malum nahin kyun

sau jaan se hum jis pe fida hote hain din-raat

wo darpai-e-azar hai malum nahin kyun

'jami' wo muKHatab hain magar arz-e-tamanna

phir bhi mujhe dushwar hai malum nahin kyun

(557) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Tar-e-nafas Khaar Hai Malum Nahin Kyun In English By Famous Poet Jami Rudaulvi. Har Tar-e-nafas Khaar Hai Malum Nahin Kyun is written by Jami Rudaulvi. Read famous Poem Har Tar-e-nafas Khaar Hai Malum Nahin Kyun for youth and Student by Jami Rudaulvi. Free Download Har Tar-e-nafas Khaar Hai Malum Nahin Kyun in PDF.