Jada-e-zist Mein Tanwir-e-sahar Aane Tak

jada-e-zist mein tanwir-e-sahar aane tak

KHwab bunte raho tabir nazar aane tak

lauT bhi aaya to sadiyon ki thakan laega

subh ka bhula hua sham ko ghar aane tak

zindagi pyas se manus na ho jae kahin

waqt ke dasht mein ek lamha-e-tar aane tak

zulmaten chhin na len hum se muqaddas chehre

sham-e-maslub tere shola-ba-sar aane tak

hum gunahon ke pujari bhi to ban sakte hain

hasil-e-jazba-e-taqdis nazar aane tak

subh ki dhup dhundhalkon mein badal jati hai

shaKH-e-iflas pe zartab samar aane tak

chashm-e-be-KHwab ki surat hai samundar mein sadaf

abr-e-nisan se koi shola-e-tar aane tak

(749) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jada-e-zist Mein Tanwir-e-sahar Aane Tak In English By Famous Poet Jamuna Parsad Rahi. Jada-e-zist Mein Tanwir-e-sahar Aane Tak is written by Jamuna Parsad Rahi. Read famous Poem Jada-e-zist Mein Tanwir-e-sahar Aane Tak for youth and Student by Jamuna Parsad Rahi. Free Download Jada-e-zist Mein Tanwir-e-sahar Aane Tak in PDF.