Kashtiyan Dub Rahi Hain Koi Sahil Lao

kashtiyan Dub rahi hain koi sahil lao

apni aankhen meri aankhon ke muqabil lao

phul kaghaz ke hain ab kanch ke gul-danon mein

tum bhi bazar se patthar ke anadil lao

ek aawaz ubharti hai pas-e-manzar-e-KHun

ai ujalo meri taswir ka qatil lao

muD ke dekhoge to patthar se badal jaoge

ab tasawwur mein na chhoDi hui manzil lao

raushni hai meri viran-nigahi ka sabab

ab na chehra koi suraj ke mumasil lao

(839) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kashtiyan Dub Rahi Hain Koi Sahil Lao In English By Famous Poet Jamuna Parsad Rahi. Kashtiyan Dub Rahi Hain Koi Sahil Lao is written by Jamuna Parsad Rahi. Read famous Poem Kashtiyan Dub Rahi Hain Koi Sahil Lao for youth and Student by Jamuna Parsad Rahi. Free Download Kashtiyan Dub Rahi Hain Koi Sahil Lao in PDF.