Ai Wasl Kuchh Yahan Na Hua Kuchh Nahin Hua

ai wasl kuchh yahan na hua kuchh nahin hua

us jism ki main jaan na hua kuchh nahin hua

tu aaj mere ghar mein jo mehman hai id hai

tu ghar ka mezban na hua kuchh nahin hua

kholi to hai zaban magar is ki kya bisat

main zahr ki dukan na hua kuchh nahin hua

kya ek karobar tha wo rabt-e-jism-o-jaan

koi bhi raegan na hua kuchh nahin hua

kitna jala hua hun bas ab kya bataun main

aalam dhuan dhuan na hua kuchh nahin hua

dekha tha jab ki pahle-pahal us ne aaina

us waqt main wahan na hua kuchh nahin hua

wo ek jamal jalwa-fishan hai zamin zamin

main ta-ba-asman na hua kuchh nahin hua

main ne bas ek nigah mein tai kar liya tujhe

tu rang-e-bekaran na hua kuchh nahin hua

gum ho ke jaan tu meri aaghosh-e-zat mein

be-nam-o-be-nishan na hua kuchh nahin hua

har koi darmiyan hai ai majra-farosh

main apne darmiyan na hua kuchh nahin hua

(2485) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ai Wasl Kuchh Yahan Na Hua Kuchh Nahin Hua In English By Famous Poet Jaun Eliya. Ai Wasl Kuchh Yahan Na Hua Kuchh Nahin Hua is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Ai Wasl Kuchh Yahan Na Hua Kuchh Nahin Hua for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Ai Wasl Kuchh Yahan Na Hua Kuchh Nahin Hua in PDF.