Dhup UThata Hun Ki Ab Sar Pe Koi Bar Nahin

dhup uThata hun ki ab sar pe koi bar nahin

beach diwar hai aur saya-e-diwar nahin

shahr ki gasht mein hain subh se sare mansur

ab to mansur wahi hai jo sar-e-dar nahin

mat suno mujh se jo aazar uThane honge

ab ke aazar ye phaila hai ki aazar nahin

sochta hun ki bhala umr ka hasil kya tha

umr-bhar sans liye aur koi ambar nahin

jin dukanon ne lagae the nigah mein bazar

un dukanon ka ye rona hai ki bazar nahin

ab wo haalat hai ki thak kar main KHuda ho jaun

koi dildar nahin koi dil-azar nahin

mujh se tum kaam na lo kaam mein lao mujh ko

koi to shahr mein aisa hai ki be-kar nahin

yaad-e-ashob ka aalam to wo aalam hai ki ab

yaad maston ko teri yaad bhi darkar nahin

waqt ko sud pe de aur na rakh koi hisab

ab bhala kaisa ziyan koi KHaridar nahin

(1636) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dhup UThata Hun Ki Ab Sar Pe Koi Bar Nahin In English By Famous Poet Jaun Eliya. Dhup UThata Hun Ki Ab Sar Pe Koi Bar Nahin is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Dhup UThata Hun Ki Ab Sar Pe Koi Bar Nahin for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Dhup UThata Hun Ki Ab Sar Pe Koi Bar Nahin in PDF.