Ek Guman Ka Haal Hai Aur Faqat Guman Mein Hai

ek guman ka haal hai aur faqat guman mein hai

kis ne azab-e-jaan saha kaun azab-e-jaan mein hai

lamha-ba-lamha dam-ba-dam aan-ba-an ram-ba-ram

main bhi guzishtagan mein hun tu bhi guzishtagan mein hai

aadam-o-zat-o-kibriya karb mein hain juda juda

kya kahun un ka majra jo bhi hai imtihan mein hai

shaKH se uD gaya parind hai dil-e-sham-e-dard-mand

sahn mein hai malal sa huzn sa aasman mein hai

KHud mein bhi be-aman hun main tujh mein bhi be-aman hun main

kaun sahega us ka gham wo jo meri aman mein hai

kaisa hisab kya hisab haalat-e-haal hai azab

zaKHm nafas nafas mein hai zahr zaman zaman mein hai

us ka firaq bhi ziyan us ka visal bhi ziyan

ek ajib kashmakash halqa-e-be-dilan mein hai

bud-o-nabud ka hisab main nahin jaanta magar

sare wajud ki nahin mere adam ki han mein hai

(2148) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Guman Ka Haal Hai Aur Faqat Guman Mein Hai In English By Famous Poet Jaun Eliya. Ek Guman Ka Haal Hai Aur Faqat Guman Mein Hai is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Ek Guman Ka Haal Hai Aur Faqat Guman Mein Hai for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Ek Guman Ka Haal Hai Aur Faqat Guman Mein Hai in PDF.