Ek Hunar Hai Jo Kar Gaya Hun Main

ek hunar hai jo kar gaya hun main

sab ke dil se utar gaya hun main

kaise apni hansi ko zabt karun

sun raha hun ki ghir gaya hun main

kya bataun ki mar nahin pata

jite-ji jab se mar gaya hun main

ab hai bas apna samna dar-pesh

har kisi se guzar gaya hun main

wahi naz-o-ada wahi ghamze

sar-ba-sar aap par gaya hun main

ajab ilzam hun zamane ka

ki yahan sab ke sar gaya hun main

kabhi KHud tak pahunch nahin paya

jab ki wan umr bhar gaya hun main

tum se jaanan mila hun jis din se

be-tarah KHud se Dar gaya hun main

ku-e-jaanan mein sog barpa hai

ki achanak sudhar gaya hun main

(3601) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Hunar Hai Jo Kar Gaya Hun Main In English By Famous Poet Jaun Eliya. Ek Hunar Hai Jo Kar Gaya Hun Main is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Ek Hunar Hai Jo Kar Gaya Hun Main for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Ek Hunar Hai Jo Kar Gaya Hun Main in PDF.