Hai Fasilen UTha Raha Mujh Mein

hai fasilen uTha raha mujh mein

jaane ye kaun aa raha mujh mein

'jaun' mujh ko jila-watan kar ke

wo mere bin bhala raha mujh mein

mujh se us ko rahi talash-e-umid

so bahut din chhupa raha mujh mein

tha qayamat sukut ka aashob

hashr sa ek bapa raha mujh mein

pas-e-parda koi na tha phir bhi

ek parda khincha raha mujh mein

mujh mein aa ke gira tha ek zaKHmi

jaane kab tak paDa raha mujh mein

itna KHali tha andarun mera

kuchh dinon to KHuda raha mujh mein

(2121) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Fasilen UTha Raha Mujh Mein In English By Famous Poet Jaun Eliya. Hai Fasilen UTha Raha Mujh Mein is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Hai Fasilen UTha Raha Mujh Mein for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Hai Fasilen UTha Raha Mujh Mein in PDF.