Jo Guzar Dushman Hai Us Ka Rahguzar Rakkha Hai Nam

jo guzar dushman hai us ka rahguzar rakkha hai nam

zat se apni na hilne ka safar rakkha hai nam

paD gaya hai ek bhanwar us ko samajh baiThe hain ghar

lahr uThi hai lahr ka diwar-o-dar rakkha hai nam

nam jis ka bhi nikal jae usi par hai madar

us ka hona ya na hona kya, magar rakkha hai nam

hum yahan KHud aae hain laya nahin koi hamein

aur KHuda ka hum ne apne nam par rakkha hai nam

chaak-e-chaaki dekh kar pairahan-e-pahnai ki

main ne apne har nafs ka baKHiya-gar rakkha hai nam

mera sina koi chhalni bhi agar kar de to kya

main ne to ab apne sine ka sipar rakkha hai nam

din hue par tu kahin hona kisi bhi shakl mein

jag kar KHwabon ne tera raat bhar rakkha hai nam

(2002) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Guzar Dushman Hai Us Ka Rahguzar Rakkha Hai Nam In English By Famous Poet Jaun Eliya. Jo Guzar Dushman Hai Us Ka Rahguzar Rakkha Hai Nam is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Jo Guzar Dushman Hai Us Ka Rahguzar Rakkha Hai Nam for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Jo Guzar Dushman Hai Us Ka Rahguzar Rakkha Hai Nam in PDF.