Hum Ki Hero Nahin

hum KHizan ki ghudud se chal kar

KHud december ki kokh tak aae

hum ko footpath par hayat mili

hum patangon pe leT kar roe

surajon ne hamare honTon par

apne honTon ka shahd Tapkaya

aur hamari shikam tasalli ko

june ki chhatiyon mein dudh aaya

barf bistar bani hamare liye

aur dozaKH ke surKH resham se

hum ne apne liye lihaf bune

zard shiryan ko dhuen se bhara

phephaDon par siyah rakh mali

naga-saki mein phul kasht kiye

nazm bairut mein mukammal ki

lorka ko kalai par bandha

ho-chi-minh ko niyam mein rakha

saDhe lenin baje school gae

subh-e-isa ko sham mein rakkha

armughan-e-hijaz mein soe

hollywood ki azan par jage

Diary mein sudhaar tha likha

dard ko falsafe ki lori di

zaKHm par shairi ka phaha rakkha

tan mashinon ki thap par thirke

dil kitabon ki tal par nacha

hum ne firaun ka qasida likha

hum ne kufe mein marsiye beche

hum ne boson ka karobar kiya

hum ne aankhon ke aaine beche

zindagi ki lagan nahin hum ko

zindagi ki hamein thakan bhi nahin

hum ki hero nahin wilen bhi nahin

(1321) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Ki Hero Nahin In English By Famous Poet Javaid Anwar. Hum Ki Hero Nahin is written by Javaid Anwar. Read famous Poem Hum Ki Hero Nahin for youth and Student by Javaid Anwar. Free Download Hum Ki Hero Nahin in PDF.