Bikharna TuTna Bhi Aur Ana Ke Sath Bhi Rahna

bikharna TuTna bhi aur ana ke sath bhi rahna

sitam ijad bhi karna wafa ke sath bhi rahna

tera andaza aisa hai andheron ki kahani mein

jalana kuchh diye bhi aur hawa ke sath bhi rahna

yahan to shoKHiyon ko apni zebai se matlab hai

lahu mein bhi machalna aur hina ke sath bhi rahna

ajab rang-e-talluq hai mohabbat ka mere dil se

ki us ko toDna bhi aur sada ke sath bhi rahna

haram aur dair sab naqsh-e-mohabbat hain so dil ko hai

KHad-o-KHal-e-butan mein bhi KHuda ke sath bhi rahna

lahu ka haal hai 'jawed' aisa jaise nashsha ho

dhDakna dil mein bhi baad-e-saba ke sath bhi rahna

(1128) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bikharna TuTna Bhi Aur Ana Ke Sath Bhi Rahna In English By Famous Poet Javed Ahmad. Bikharna TuTna Bhi Aur Ana Ke Sath Bhi Rahna is written by Javed Ahmad. Read famous Poem Bikharna TuTna Bhi Aur Ana Ke Sath Bhi Rahna for youth and Student by Javed Ahmad. Free Download Bikharna TuTna Bhi Aur Ana Ke Sath Bhi Rahna in PDF.