Dast-bardar Agar Aap Ghazab Se Ho Jaen

dast-bardar agar aap ghazab se ho jaen

har sitam bhul ke hum aap ke ab se ho jaen

chaudhwin shab hai to khiDki ke gira do parde

kaun jaane ki wo naraaz hi shab se ho jaen

ek KHushbu ki tarah phailte hain mahfil mein

aise alfaz ada jo tere lab se ho jaen

na koi ishq hai baqi na koi parcham hai

log diwane bhala kis ke sabab se ho jaen

bandh lo hath ki phailen na kisi ke aage

si lo ye lab ki kahin wo na talab se ho jaen

baat to chheD mere dil koi qissa to suna

kya ajab un ke bhi jazbaat ajab se ho jaen

(1471) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dast-bardar Agar Aap Ghazab Se Ho Jaen In English By Famous Poet Javed Akhtar. Dast-bardar Agar Aap Ghazab Se Ho Jaen is written by Javed Akhtar. Read famous Poem Dast-bardar Agar Aap Ghazab Se Ho Jaen for youth and Student by Javed Akhtar. Free Download Dast-bardar Agar Aap Ghazab Se Ho Jaen in PDF.