Jidhar Jate Hain Sab Jaana Udhar Achchha Nahin Lagta

jidhar jate hain sab jaana udhar achchha nahin lagta

mujhe pamal raston ka safar achchha nahin lagta

ghalat baaton ko KHamoshi se sunna hami bhar lena

bahut hain faede is mein magar achchha nahin lagta

mujhe dushman se bhi KHuddari ki ummid rahti hai

kisi ka bhi ho sar qadmon mein sar achchha nahin lagta

bulandi par unhen miTTi ki KHushbu tak nahin aati

ye wo shaKHen hain jin ko ab shajar achchha nahin lagta

ye kyun baqi rahe aatish-zano ye bhi jala Dalo

ki sab beghar hon aur mera ho ghar achchha nahin lagta

(2595) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jidhar Jate Hain Sab Jaana Udhar Achchha Nahin Lagta In English By Famous Poet Javed Akhtar. Jidhar Jate Hain Sab Jaana Udhar Achchha Nahin Lagta is written by Javed Akhtar. Read famous Poem Jidhar Jate Hain Sab Jaana Udhar Achchha Nahin Lagta for youth and Student by Javed Akhtar. Free Download Jidhar Jate Hain Sab Jaana Udhar Achchha Nahin Lagta in PDF.