Khula Hai Dar Pa Tera Intizar Jata Raha

khula hai dar pa tera intizar jata raha

KHulus to hai magar e'tibar jata raha

kisi ki aankh mein masti to aaj bhi hai wahi

magar kabhi jo hamein tha KHumar jata raha

kabhi jo sine mein ek aag thi wo sard hui

kabhi nigah mein jo tha sharar jata raha

ajab sa chain tha hum ko ki jab the hum bechain

qarar aaya to jaise qarar jata raha

kabhi to meri bhi sunwai hogi mahfil mein

main ye umid liye bar bar jata raha

(1577) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Khula Hai Dar Pa Tera Intizar Jata Raha In English By Famous Poet Javed Akhtar. Khula Hai Dar Pa Tera Intizar Jata Raha is written by Javed Akhtar. Read famous Poem Khula Hai Dar Pa Tera Intizar Jata Raha for youth and Student by Javed Akhtar. Free Download Khula Hai Dar Pa Tera Intizar Jata Raha in PDF.