Kin Lafzon Mein Itni KaDwi Itni Kasili Baat Likhun

kin lafzon mein itni kaDwi itni kasili baat likhun

sher ki main tahzib bana hun ya apne haalat likhun

gham nahin likkhun kya main gham ko jashn likhun kya matam ko

jo dekhe hain main ne janaze kya un ko baraat likhun

kaise likhun main chand ke qisse kaise likhun main phul ki baat

ret uDae garm hawa to kaise main barsat likhun

kis kis ki aankhon mein dekhe main ne zahr bujhe KHanjar

KHud se bhi jo main ne chhupae kaise wo sadmat likhun

taKHt ki KHwahish luT ki lalach kamzoron par zulm ka shauq

lekin un ka farmana hai main in ko jazbaat likhun

qatil bhi maqtul bhi donon nam KHuda ka lete the

koi KHuda hai to wo kahan tha meri kya auqat likhun

apni apni tariki ko log ujala kahte hain

tariki ke nam likhun to qaumen firqe zat likhun

jaane ye kaisa daur hai jis mein jurat bhi to mushkil hai

din ho agar to us ko likhun din raat agar ho raat likhun

(2109) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kin Lafzon Mein Itni KaDwi Itni Kasili Baat Likhun In English By Famous Poet Javed Akhtar. Kin Lafzon Mein Itni KaDwi Itni Kasili Baat Likhun is written by Javed Akhtar. Read famous Poem Kin Lafzon Mein Itni KaDwi Itni Kasili Baat Likhun for youth and Student by Javed Akhtar. Free Download Kin Lafzon Mein Itni KaDwi Itni Kasili Baat Likhun in PDF.