Nigal Gae Sab Ki Sab Samundar Zamin Bachi Ab Kahin Nahin Hai
nigal gae sab ki sab samundar zamin bachi ab kahin nahin hai
bachate hum apni jaan jis mein wo kashti bhi ab kahin nahin hai
bahut dinon baad pai fursat to main ne KHud ko palaT ke dekha
magar main pahchanta tha jis ko wo aadmi ab kahin nahin hai
guzar gaya waqt dil pe likh kar na jaane kaisi ajib baaten
waraq palaTta hun main jo dil ke to sadgi ab kahin nahin hai
wo aag barsi hai dopahar mein ki sare manzar jhulas gae hain
yahan sawere jo tazgi thi wo tazgi ab kahin nahin hai
tum apne qasbon mein ja ke dekho wahan bhi ab shahr hi base hain
ki DhunDhte ho jo zindagi tum wo zindagi ab kahin nahin hai
(1631) Peoples Rate This