Yaqin Ka Agar Koi Bhi Silsila Nahin Raha

yaqin ka agar koi bhi silsila nahin raha

to shukr kijiye ki ab koi gila nahin raha

na hijr hai na wasl hai ab is ko koi kya kahe

ki phul shaKH par to hai magar khila nahin raha

KHazana tum na pae to gharib jaise ho gae

palak pe ab koi bhi moti jhilmila nahin raha

badal gai hai zindagi badal gae hain log bhi

KHulus ka jo tha kabhi wo ab sila nahin raha

jo dushmani baKHil se hui to itni KHair hai

ki zahr us ke pas hai magar pila nahin raha

lahu mein jazb ho saka na ilm to ye haal hai

koi sawal zehn ko jo de jala nahin raha

(1902) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaqin Ka Agar Koi Bhi Silsila Nahin Raha In English By Famous Poet Javed Akhtar. Yaqin Ka Agar Koi Bhi Silsila Nahin Raha is written by Javed Akhtar. Read famous Poem Yaqin Ka Agar Koi Bhi Silsila Nahin Raha for youth and Student by Javed Akhtar. Free Download Yaqin Ka Agar Koi Bhi Silsila Nahin Raha in PDF.