Ek Mohre Ka Safar

jab wo kam-umr hi tha

us ne ye jaan liya tha ki agar jina hai

baDi chaalaki se jina hoga

aankh ki aaKHiri had tak hai bisat-e-hasti

aur wo mamuli sa ek mohra hai

ek ek KHana bahut soch ke chalna hoga

bazi aasan nahin thi us ki

dur tak chaaron taraf phaile the

mohre

jallad

nihayat hi saffak

saKHt be-rahm

bahut hi chaalak

apne qabze mein liye

puri bisat

us ke hisse mein faqat mat liye

wo jidhar jata

use milta tha

har naya KHana nai ghat liye

wo magar bachta raha

chalta raha

ek ghar

dusra ghar

tisra ghar

pas aaya kabhi auron ke

kabhi dur hua

wo magar bachta raha

chalta raha

go ki mamuli sa mohara tha magar jit gaya

yun wo ek roz baDa mohara bana

ab wo mahfuz hai ek KHane mein

itna mahfuz hai ek KHane mein

itna mahfuz ki dushman to alag

dost bhi pas nahin aa sakte

us ke ek hath mein hai jit us ki

dusre hath mein tanhai hai

(1967) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Mohre Ka Safar In English By Famous Poet Javed Akhtar. Ek Mohre Ka Safar is written by Javed Akhtar. Read famous Poem Ek Mohre Ka Safar for youth and Student by Javed Akhtar. Free Download Ek Mohre Ka Safar in PDF.