Ham-sae Ke Nam

kuchh tum ne kaha

kuchh main ne kaha

aur baDhte baDhte baat baDhi

dil ub gaya

dil Dub gaya

aur gahri kali raat baDhi

tum apne ghar

main apne ghar

sare darwaze band kiye

baiThe hain kaDwe ghunT piye

oDhe hain ghusse ki chadar

kuchh tum socho

kuchh main sochun

kyun unchi hain ye diwaren

kab tak hum in par sar maren

kab tak ye andhere rahne hain

kina ke ye ghere rahne hain

chalo apne darwaze kholen

aur ghar ke bahar aaen hum

dil Thahre jahan hain barson se

wo ek nukkaD hai nafrat ka

kab tak is nukkaD par Thahren

ab is ke aage jaen hum

bas thoDi dur ek dariya hai

jahan ek ujala bahta hai

wan lahron lahron hain kirnen

aur kirnon kirnon hain lahren

in kirnon mein

in lahron mein

hum dil ko KHub nahane den

sinon mein jo ek patthar hai

us patthar ko ghul jaane den

dil ke ek kone mein bhi chhupi

gar thoDi si bhi nafrat hai

is nafrat ko dhul jaane den

donon ki taraf se jis din bhi

izhaar nadamat ka hoga

tab jashn mohabbat ka hoga

(1590) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ham-sae Ke Nam In English By Famous Poet Javed Akhtar. Ham-sae Ke Nam is written by Javed Akhtar. Read famous Poem Ham-sae Ke Nam for youth and Student by Javed Akhtar. Free Download Ham-sae Ke Nam in PDF.