Sahar Hi Aai Na Wo Shahid-e-sahar Aaya

sahar hi aai na wo shahid-e-sahar aaya

ghubar-e-shab ka musafir hi mere ghar aaya

thakan ki dhup Dhali bhi nahin thi sar se abhi

azab-e-hukm-e-safar mujh pe phir utar aaya

diya jalate hue hath kanpte kyun hain

kahan se KHauf badan mein hawa ka dar aaya

ye lamha lamha bikharti hui ana ka wajud

na ye zamin na wo aasman nazar aaya

rida rahi na badan par koi qaba shadab

ye kaun dhup mein dekho barahna-sar aaya

badan tamam hua hai lahu-luhan mera

nai ruton ka musafir ba-chashm-e-tar aaya

bahut aziz hai apne watan ki KHak hamein

jo KHwab aankhon mein aaya wo mo'tabar aaya

(754) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sahar Hi Aai Na Wo Shahid-e-sahar Aaya In English By Famous Poet Javed Ikram Farooqi. Sahar Hi Aai Na Wo Shahid-e-sahar Aaya is written by Javed Ikram Farooqi. Read famous Poem Sahar Hi Aai Na Wo Shahid-e-sahar Aaya for youth and Student by Javed Ikram Farooqi. Free Download Sahar Hi Aai Na Wo Shahid-e-sahar Aaya in PDF.