Hayat DauDti Hai Umr Bhar Qaza Ki Taraf

hayat dauDti hai umr bhar qaza ki taraf

jaza-e-KHair ki jaanib ki phir saza ki taraf

maqam-e-fikr hai ye samt-e-fikr Thik nahin

safar hai tez magar hai kahan KHuda ki taraf

rahe miyana-rawi hai yahi tariqa-e-adl

jhuken na sifr ki jaanib na intiha ki taraf

na jaane kaisa hai ye irtiqa zamane ka

ki lauT lauT ke jata hai ibtida ki taraf

ye kaisi ja hai jahan hai hawa bhi masnui

nikal ke bhag chalo qudrati faza ki taraf

maraz shifa ki taDap mein qadam uThata hai

kabhi dawa ki taraf aur kabhi dua ki taraf

pukarna hai tera kaam kaam kar 'jawed'

palaT ke aaegi duniya teri sada ki taraf

(697) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hayat DauDti Hai Umr Bhar Qaza Ki Taraf In English By Famous Poet Javed Jameel. Hayat DauDti Hai Umr Bhar Qaza Ki Taraf is written by Javed Jameel. Read famous Poem Hayat DauDti Hai Umr Bhar Qaza Ki Taraf for youth and Student by Javed Jameel. Free Download Hayat DauDti Hai Umr Bhar Qaza Ki Taraf in PDF.