JhuTi Tasalliyon Pe Shab-e-gham Basar Hui

jhuTi tasalliyon pe shab-e-gham basar hui

uThi chamak jo zaKHm mein samjha sahar hui

har har nafas chhuri hai liye qat-e-sham-e-hijr

ya aaj dam nikal hi gaya ya sahar hui

badlin jo karwaTen to zamana badal gaya

duniya thi be-sabaat idhar ki udhar hui

jati hai raushni meri aankhon ko chhoD ke

tare chhupe wo so ke uThe wo sahar hui

pahle ye jaanta tha ki zaKHmi nahin hai dil

jab de diya ragon ne lahu jab KHabar hui

kis munh se roun main dil-e-hasrat-nasib ko

jab mar gaya gharib to mujh ko KHabar hui

'jawed' bu-e-gul ko hawa aa ke le gai

kaliyon ko gham hua na gulon ko KHabar hui

(632) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

JhuTi Tasalliyon Pe Shab-e-gham Basar Hui In English By Famous Poet Javed Lakhnvi. JhuTi Tasalliyon Pe Shab-e-gham Basar Hui is written by Javed Lakhnvi. Read famous Poem JhuTi Tasalliyon Pe Shab-e-gham Basar Hui for youth and Student by Javed Lakhnvi. Free Download JhuTi Tasalliyon Pe Shab-e-gham Basar Hui in PDF.