Palkon Pe Le Ke Bojh Kahan Tak Phira Karun

palkon pe le ke bojh kahan tak phira karun

ai KHwab-e-raegan main bata tera kya karun

wo hai ba-zid usi pe ki main iltija karun

kuchh to bata ai meri ana ab main kya karun

pane ki jidd-o-johd mein umren guzar gain

ek bar tujh ko khone ka bhi hausla karun

har aane wala bazm mein teri hai mohtaram

tazim ko main sab ki kahan tak uTha karun

har ek waraq hai tujh se shurua is kitab ka

tu hi bata kahan se main ab ibtida karun

hai zer-e-ghaur apni hi chahat ka ehtisab

teri wafa pe kya main abhi tabsira karun

(1122) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Palkon Pe Le Ke Bojh Kahan Tak Phira Karun In English By Famous Poet Javed Naseemi. Palkon Pe Le Ke Bojh Kahan Tak Phira Karun is written by Javed Naseemi. Read famous Poem Palkon Pe Le Ke Bojh Kahan Tak Phira Karun for youth and Student by Javed Naseemi. Free Download Palkon Pe Le Ke Bojh Kahan Tak Phira Karun in PDF.