Waqt Ke Hathon Ne Jab Tak Ki Na KHamosh Kiya

waqt ke hathon ne jab tak ki na KHamosh kiya

main ne tujh ko na kisi lamha faramosh kiya

is ki chahat ne sanwarne ka saliqa baKHsha

shahr ke shahr ko us shaKHs ne KHush-posh kiya

hijr ke sadme bahut baKHshe ye sach hai lekin

lazzat-e-wasl se bhi us ne ham-aghosh kiya

waqt ki dhul ne kajla diye suraj kitne

kaise kaison ko zamane ne faramosh kiya

teri qurbat ne sikhai thi mujhe mai-noshi

aur furqat ne teri mujh ko bala-nosh kiya

kya mila tark-e-talluq se bhi mujh ko 'jawed'

yaad ne chhoDa na gham hi ne subuk-dosh kiya

(867) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waqt Ke Hathon Ne Jab Tak Ki Na KHamosh Kiya In English By Famous Poet Javed Naseemi. Waqt Ke Hathon Ne Jab Tak Ki Na KHamosh Kiya is written by Javed Naseemi. Read famous Poem Waqt Ke Hathon Ne Jab Tak Ki Na KHamosh Kiya for youth and Student by Javed Naseemi. Free Download Waqt Ke Hathon Ne Jab Tak Ki Na KHamosh Kiya in PDF.