AaKHiri Nazm

biwi mujh se kahti hai

sara din leTe rahne

aur nazmen likhne se

ghar kaise chalega

nazmen roTiyan to nahin

ki bachchon ka peT bhar saken

tum to apna peT

shaeri ki talwar se kaT kar

mustaqbil ki khunTi se laTka chuke ho

lekin hamare peT itne shairana nahin

sochta hun

biwi Thik kahti hai

nazmen to ghaib se utar aati hain

lekin roTiyan ghaib ke tannur mein nahin paktin

waise bhi shaeri ko zinda rakhne ke liye

peT par roTi bhandhni zaruri hai

lekin main use darKHwast karunga

wo mujhe ek nazm aur likh lene de

aaKHiri nazm

jis mein aane wali kal ke liye

koi tarif nahin hogi

jis mein guzar jaane wali kal ke liye

koi pachhtawa nahin hoga

jis mein aaj ke kisi dukh ka

matam nahin hoga

har lihaz se mukammal nazm

(830) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

AaKHiri Nazm In English By Famous Poet Javed Shaheen. AaKHiri Nazm is written by Javed Shaheen. Read famous Poem AaKHiri Nazm for youth and Student by Javed Shaheen. Free Download AaKHiri Nazm in PDF.