Shahr Ki Galiyan Charaghon Se Bhar Gain

raat ke aaKHiri pahar

main ne muqaddas fly ki sarhad pe

panw rakha

us ke sabz pairahan ki KHushbu

mere istiqbaal ke liye maujud thi

mere KHak-alud ghuTnon ne

zamin ki KHushbu-dar naf ko chhua

to main ne

apna malbus chaak kar Dala

wo papers ke jangalon ke shumali kinare pe baiThi

nil ke paniyon ko kat rahi thi

us ne mere KHak-alud chehre ko

nil ka aaina dikhaya

hum mutabarrik tel ke namkin charagh hatheliyon pe rakhe

shahr-e-panah ki taraf chal diye

jahan dewta

baryabi ke muntazir the

hamare qadmon ki aahaT pa kar

muqaddas phaTak ke sunahre kiwaD

zamin ke aaKHiri kinaron tak khul gae

aur shahar ki itr-bez galiyan

hamare talwe chumne lagin

hamare suron pe phaile

aasman ke safed waraq par

parindon ke liye harf imtinaa likha tha

hum KHudawand asar ki ziyarat-gah ke nawah mein pahunche

to dewta apna marqad chhoD kar

dahliz se aa laga

us ne apne dil ke chhed

narsale ki shaKH pe kunda kiye

aur apne KHubsurat lahn ki siDhi laga kar

dilon mein utar gaya

siyah mabad ke sunahre kalas ke sae mein

zaerin ka matami julus

dar-o-diwar pe

nauhe tastir kar raha tha

mere pahlu mein khaDi

sabz-fam aurat ne

mujhe dewtai malbus hadiya kiya

to main hatif ki bargah ki dahliz se lag kar

apna qasida

bhenT karne laga

muqaddas fly ki tarik galiyan

namkin charaghon se bhar gain

main ne aaKHiri misra

hatif ko dan kiya

aur sabz aurat ki nili aankhon mein

tahsin ki naqadi talash karne laga

us ne faslon pe karam karte hath se

hawa mein taraazu banaya

ek palDe mein

mera harf-e-hunar rakha

aur dusre mein

apne jamal ki naqadi

us ke jamal ka sabz dariya

mere daman mein bahne laga

(2504) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shahr Ki Galiyan Charaghon Se Bhar Gain In English By Famous Poet Jawaz Jafri. Shahr Ki Galiyan Charaghon Se Bhar Gain is written by Jawaz Jafri. Read famous Poem Shahr Ki Galiyan Charaghon Se Bhar Gain for youth and Student by Jawaz Jafri. Free Download Shahr Ki Galiyan Charaghon Se Bhar Gain in PDF.