Mujhe Yaqin Dila Haalat-e-guman Se Nikal

mujhe yaqin dila haalat-e-guman se nikal

gham-e-hayat ko baDhte hue ziyan se nikal

phir is ke baad jahan tu kahe guzarunga

bas ek bar zara karb-e-jism-o-jaan se nikal

main ain apne hadaf par lagunga, shart laga

zara sa khinch mujhe aur phir kaman se nikal

main apne jism ke andar na dafn ho jaun

mujhe wajud ke girte hue makan se nikal

main ek shoala-e-badmast hi sahi lekin

main jal raha hun mujhe mere darmiyan se nikal

ai Daliyon pe nae phal ugane wali dua

mere shajar ko bhi is haalat-e-KHizan se nikal

bula rahi hai tujhe bhi hawas ki shahzadi

tu apne aap ko is lamha-e-rawan se nikal

jise bahisht mein aadam ne chakh liya tha 'atib'

main kha raha hun wahi phal, mujhe yahan se nikal

(1517) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe Yaqin Dila Haalat-e-guman Se Nikal In English By Famous Poet Jeem Jazil. Mujhe Yaqin Dila Haalat-e-guman Se Nikal is written by Jeem Jazil. Read famous Poem Mujhe Yaqin Dila Haalat-e-guman Se Nikal for youth and Student by Jeem Jazil. Free Download Mujhe Yaqin Dila Haalat-e-guman Se Nikal in PDF.