Kisi Ne Chehre Pe Bikhra Liya Tha Zulfon Ko

kisi ne chehre pe bikhra liya tha zulfon ko

zara si baat thi bas le uDe hain diwane

ye phul khilte hain gulzar mein ki parde se

baDha ke hath koi de raha hai paimane

hui hai bais-e-tughyan-e-ishq garmi-e-husn

jale na shama to kyun ghir ke aaen parwane

jahan jin se tha ek bazm na-o-nosh tamam

kahan wo baada-gusar ab kahan wo maiKHane

jo aql wale hain chalte hain apni apni rah

sab ek rawish pe chale ja rahe hain diwane

nahin hai farq koi nur aur zulmat mein

hawas gum hain wo palTa liya hai duniya ne

chamak uThen to mah-o-mahr ko bhi kar den mand

wo zarre god mein apni liye hain virane

kisi ke tir lage sine mein KHuda na kare

hamare dil mein hai kya dard koi kya jaane

hamare waste saqi piyala-o-KHum ek

chhalak chalen jo wo hote hain aur paimane

KHuda samajhne se aaKHir bacha liya mujh ko

hazar shukr mere aib tum ne pahchane

hai dil mein aag to aankhon mein lala-zar 'jigar'

nigah-e-naz ke andaz koi kya jaane

(791) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Ne Chehre Pe Bikhra Liya Tha Zulfon Ko In English By Famous Poet Jigar Barelvi. Kisi Ne Chehre Pe Bikhra Liya Tha Zulfon Ko is written by Jigar Barelvi. Read famous Poem Kisi Ne Chehre Pe Bikhra Liya Tha Zulfon Ko for youth and Student by Jigar Barelvi. Free Download Kisi Ne Chehre Pe Bikhra Liya Tha Zulfon Ko in PDF.