Dard-e-dil Ki Dawa Na Ho Jae

dard-e-dil ki dawa na ho jae

zindagi be-maza na ho jae

lutf deti hai kya umid-e-wafa

bewafa ba-wafa na ho jae

kaise betab un ko dekhunga

aah yarab rasa na ho jae

dil mein hasrat basa to li hai magar

ye kaDi silsila na ho jae

apni duniya usi se raushan hai

gul charagh-e-wafa na ho jae

hum sitam ko karam samajhte hain

un pe ye raaz wa na ho jae

ek zamana hai us ka diwana

kahin wo but KHuda na ho jae

dil hi sab se baDa sahaara hai

dil kisi se juda na ho jae

tum agar chhu lo apne honTon se

sher mera tera na ho jae

dil luTa kar 'jigar' hamari tarah

koi be-asra na ho jae

(3366) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dard-e-dil Ki Dawa Na Ho Jae In English By Famous Poet Jigar Jalandhari. Dard-e-dil Ki Dawa Na Ho Jae is written by Jigar Jalandhari. Read famous Poem Dard-e-dil Ki Dawa Na Ho Jae for youth and Student by Jigar Jalandhari. Free Download Dard-e-dil Ki Dawa Na Ho Jae in PDF.