Jab Wo Na-mehrban Nahin Hota

jab wo na-mehrban nahin hota

aasman aasman nahin hota

hum zamane se kya umid karen

tu hi jab mehrban nahin hota

kahan aaram DhunDne jaen

kis jagah aasman nahin hota

meri nazron se dur rah kar bhi

wo nazar se nihan nahin hota

uzr ab kyun hai mujh se milne mein

main tere darmiyan nahin hota

us ko nazren bayan karti hain

jo zaban se bayan nahin hota

dard ka kya subut pesh karun

us ka koi nishan nahin hota

dair-o-kaba mein DhunDne walo

us ka jalwa kahan nahin hota

lakh aaram hon qafas mein magar

phir bhi wo aashiyan nahin hota

imtihan-e-wafa se baDh ke 'jigar'

koi bhi imtihan nahin hota

(1206) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Wo Na-mehrban Nahin Hota In English By Famous Poet Jigar Jalandhari. Jab Wo Na-mehrban Nahin Hota is written by Jigar Jalandhari. Read famous Poem Jab Wo Na-mehrban Nahin Hota for youth and Student by Jigar Jalandhari. Free Download Jab Wo Na-mehrban Nahin Hota in PDF.