Hum Ko MiTa Sake Ye Zamane Mein Dam Nahin

hum ko miTa sake ye zamane mein dam nahin

hum se zamana KHud hai zamane se hum nahin

be-faeda alam nahin bekar gham nahin

taufiq de KHuda to ye nemat bhi kam nahin

meri zaban pe shikwa-e-ahl-e-sitam nahin

mujh ko jaga diya yahi ehsan kam nahin

ya rab hujum-e-dard ko de aur wusaten

daman to kya abhi meri aankhen bhi nam nahin

shikwa to ek chheD hai lekin haqiqatan

tera sitam bhi teri inayat se kam nahin

ab ishq us maqam pe hai justuju-naward

saya nahin jahan koi naqsh-e-qadam nahin

milta hai kyun maza sitam-e-rozgar mein

tera karam bhi KHud jo sharik-e-sitam nahin

marg-e-'jigar' pe kyun teri aankhen hain ashk-rez

ek saneha sahi magar itna aham nahin

(1318) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Ko MiTa Sake Ye Zamane Mein Dam Nahin In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Hum Ko MiTa Sake Ye Zamane Mein Dam Nahin is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Hum Ko MiTa Sake Ye Zamane Mein Dam Nahin for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Hum Ko MiTa Sake Ye Zamane Mein Dam Nahin in PDF.