Kaam AaKHir Jazba-e-be-iKHtiyar Aa Hi Gaya

kaam aaKHir jazba-e-be-iKHtiyar aa hi gaya

dil kuchh is surat se taDpa un ko pyar aa hi gaya

jab nigahen uTh gain allah-ri meraj-e-shauq

dekhta kya hun wo jaan-e-intizar aa hi gaya

hae ye husn-e-tasawwur ka fareb-e-rang-o-bu

main ye samjha jaise wo jaan-e-bahaar aa hi gaya

han saza de ai KHuda-e-ishq ai taufiq-e-gham

phir zaban-e-be-adab par zikr yar aa hi gaya

is tarah KHush hun kisi ke wada-e-farda pe main

dar-haqiqat jaise mujh ko e'tibar aa hi gaya

hae kafir-dil ki ye kafir junun-angeziyan

tum ko pyar aae na aae mujh ko pyar aa hi gaya

dard ne karwaT hi badli thi ki dil ki aaD se

dafatan parda uTha aur parda-dar aa hi gaya

dil ne ek nala kiya aaj is tarah diwana-war

baal bikhrae koi msatana-war aa hi gaya

jaan hi de di 'jigar' ne aaj pa-e-yar par

umr bhar ki be-qarari ko qarar aa hi gaya

(853) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaam AaKHir Jazba-e-be-iKHtiyar Aa Hi Gaya In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Kaam AaKHir Jazba-e-be-iKHtiyar Aa Hi Gaya is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Kaam AaKHir Jazba-e-be-iKHtiyar Aa Hi Gaya for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Kaam AaKHir Jazba-e-be-iKHtiyar Aa Hi Gaya in PDF.