Mohabbat Sulh Bhi Paikar Bhi Hai

mohabbat sulh bhi paikar bhi hai

ye shaKH-e-gul bhi hai talwar bhi hai

tabiat is taraf KHuddar bhi hai

udhar nazuk mizaj-e-yar bhi hai

ada-e-ishq ada-e-yar bhi hai

bahut sada bahut purkar bhi hai

ye fitne jin se ek duniya hai nalan

inhin se garmi-e-bazar bhi hai

junun ke dam se hai nazm-e-do-alam

junun barham-zan-e-afkar bhi hai

nafas par hai madar-e-zindagani

nafas chalti hui talwar bhi hai

isi insan mein sab kuchh hai pinhan

magar ye marifat dushwar bhi hai

wo bu-e-gul ki hai jaan-e-chaman bhi

qayamat hai chaman-be-zar bhi hai

yahi duniya hai nisbat aansuon ki

yahi duniya tabassum-zar bhi hai

jahan wo hain wahin mera tasawwur

jahan main hun KHayal-e-yar bhi hai

KHabar-dar ai subuk-saran-e-sahil

ye sahil hi kabhi manjdhaar bhi hai

ghanimat hai ki is daur-e-hawas mein

tera milna bahut dushwar bhi hai

jo koi sun sake to nikhat-e-gul

shikast-e-rang ki jhankar bhi hai

un aankhon ki zahe mojaz-bayani

baham inkar bhi iqrar bhi hai

(877) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mohabbat Sulh Bhi Paikar Bhi Hai In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Mohabbat Sulh Bhi Paikar Bhi Hai is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Mohabbat Sulh Bhi Paikar Bhi Hai for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Mohabbat Sulh Bhi Paikar Bhi Hai in PDF.