Shab-e-firaq Hai Aur Nind Aai Jati Hai

shab-e-firaq hai aur nind aai jati hai

kuchh is mein un ki tawajjoh bhi pai jati hai

ye umr-e-ishq yunhi kya ganwai jati hai

hayat zinda haqiqat banai jati hai

bana bana ke jo duniya miTai jati hai

zarur koi kami hai ki pai jati hai

hamin pe ishq ki tohmat lagai jati hai

magar ye sharm jo chehre pe chhai jati hai

KHuda kare ki haqiqat mein zindagi ban jae

wo zindagi jo zaban tak hi pai jati hai

gunahgar ke dil se na bach ke chal zahid

yahin kahin teri jannat bhi pai jati hai

na soz-e-ishq na barq-e-jamal par ilzam

dilon mein aag KHushi se lagai jati hai

kuchh aise bhi to hain rindan-e-pak-baz 'jigar'

ki jin ko be-mai-o-saghar pilai jati hai

(921) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shab-e-firaq Hai Aur Nind Aai Jati Hai In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Shab-e-firaq Hai Aur Nind Aai Jati Hai is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Shab-e-firaq Hai Aur Nind Aai Jati Hai for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Shab-e-firaq Hai Aur Nind Aai Jati Hai in PDF.