Shaer-e-fitrat Hun Jab Bhi Fikr Farmata Hun Main

shaer-e-fitrat hun jab bhi fikr farmata hun main

ruh ban kar zarre zarre mein sama jata hun main

aa ki tujh bin is tarah ai dost ghabraata hun main

jaise har shai mein kisi shai ki kami pata hun main

jis qadar afsana-e-hasti ko dohraata hun main

aur bhi be-gana-e-hasti hua jata hun main

jab makan-o-la-makan sab se guzar jata hun main

allah allah tujh ko KHud apni jagah pata hun main

teri surat ka jo aaina use pata hun main

apne dil par aap kya kya naz farmata hun main

yak-ba-yak ghabra ke jitni dur haT aata hun main

aur bhi us shoKH ko nazdik-tar pata hun main

meri hasti shauq-e-paiham meri fitrat iztirab

koi manzil ho magar guzra chala jata hun main

hae-ri majburiyan tark-e-mohabbat ke liye

mujh ko samjhate hain wo aur un ko samjhata hun main

meri himmat dekhna meri tabiat dekhna

jo sulajh jati hai gutthi phir se uljhata hun main

husn ko kya dushmani hai ishq ko kya bair hai

apne hi qadmon ki KHud hi Thokaren khata hun main

teri mahfil tere jalwe phir taqaza kya zarur

le uTha jata hun zalim le chala jata hun main

ta-kuja ye parda-dari-ha-e-ishq-o-laf-e-husn

han sambhal jaen do-alam hosh mein aata hun main

meri KHatir ab wo taklif-e-tajalli kyun karen

apni gard-e-shauq mein KHud hi chhupa jata hun main

dil mujassam sher-o-naghma wo sarapa rang-o-bu

kya fazaen hain ki jin mein jul hua jata hun main

ta-kuja zabt-e-mohabbat ta-kuja dard-e-firaq

rahm kar mujh par ki tera raaz kahlata hun main

wah-re shauq-e-shahadat ku-e-qatil ki taraf

gungunata raqs karta jhumta jata hun main

ya wo surat KHud jahan-e-rang-o-bu mahkum tha

ya ye aalam apne sae se daba jata hun main

dekhna is ishq ki ye turfa-kari dekhna

wo jafa karte hain mujh par aur sharmata hun main

ek dil hai aur tufan-e-hawadis ai 'jigar'

ek shisha hai ki har patthar se Takraata hun main

(1239) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shaer-e-fitrat Hun Jab Bhi Fikr Farmata Hun Main In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Shaer-e-fitrat Hun Jab Bhi Fikr Farmata Hun Main is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Shaer-e-fitrat Hun Jab Bhi Fikr Farmata Hun Main for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Shaer-e-fitrat Hun Jab Bhi Fikr Farmata Hun Main in PDF.