Gandhi-ji Ki Yaad Mein!

wahi hai shor-e-hae-o-hu, wahi hujum-e-mard-o-zan

magar wo husn-e-zindagi, magar wo jannat-e-watan

wahi zamin, wahin zaman, wahi makin, wahi makan

magar surur-e-yak-dili, magar nashat-e-anjuman

wahi hai shauq-e-nau-ba-nau, wahi jamal-e-rang-rang

magar wo ismat-e-nazar, tahaarat-e-lab-o-dahan

taraqqiyon pe garche hain, tamaddun-o-muashrat

magar wo husn-e-sadgi, wo sadgi ka bankpan

sharab-e-nau ki mastiyan, ki al-hafiz-o-al-aman

magar wo ek latif sa surur-e-baada-e-kuhan

ye naghma-e-hayat hai ki hai ajal tarana-sanj

ye daur-e-kaenat hai ki raqs mein hai ahrman

hazar-dar-hazar hain agarche rahbaran-e-mulk

magar wo pir-e-naujawan, wo ek mard-e-saf-shikan

wahi mahatma wahi shahid-e-amn-o-ashti

prem jis ki zindagi, KHulus jis ka pairahan

wahi sitare hain, magar kahan wo mahtab-e-hind

wahi hai anjuman, magar kahan wo sadr-e-anjuman

(963) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gandhi-ji Ki Yaad Mein! In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Gandhi-ji Ki Yaad Mein! is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Gandhi-ji Ki Yaad Mein! for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Gandhi-ji Ki Yaad Mein! in PDF.