Nazm

be-sabaat ki duniya mausamon mein utri hai

phul ban ke aai hai

gulshanon mein utri hai

aansuon mein utri hai

dil mein kuchh baras ji kar aanganon mein utri hai

chal diye KHata ban kar

ishq ki hikayat ke log bewafa ban kar

jism-o-jaan ke parde mein qais ki qaba ban kar

raste ki miTTi par aks hain duaon ke

kuchh qadam hain ghairon ke kuchh hain aashnaon ke

barha gine hum ne qafile jafaon ke

aks-e-be-gunah honge

nam bargahon ke kis qalam ne likkhe hain mashware hawaon ke

(920) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazm In English By Famous Poet Jilani Kamran. Nazm is written by Jilani Kamran. Read famous Poem Nazm for youth and Student by Jilani Kamran. Free Download Nazm in PDF.