Aag Hai Aag Teri Tegh-e-ada Ka Pani

aag hai aag teri tegh-e-ada ka pani

aise pani ko main hargiz na kahunga pani

na rahe aankh mein bhi dil se nikal kar aansu

ja-ba-ja un ko liye phirta hai dana pani

haal puchho na mere girya-e-gham ka mujh se

us ke kahne se bhi hota hai kaleja pani

soz-e-gham hi se meri aankh mein aansu aae

sochta hun ki ise aag kahun ya pani

tark-e-mai-KHana gawara na karunga hargiz

ras hai meri tabiat ko yahan ka pani

kar diya sab ko tere tir-e-nazar ne sairab

jis ke sine pe laga us ne na manga pani

aish dam bhar ka bhi dekha nahin jata us se

charKH-e-kam-baKHt ki aankhon mein na utra pani

tere hi jalwe se hai bagh-e-tamanna ki bahaar

yahi tanwir hai aaina-dil ka pani

KHalish-e-gham se kiye jaun kahan tak nale

meri qismat mein to har roz ye iza pani

Dub jate hain umidon ke safine is mein

main na manunga ki aansu hai zara sa pani

zabt-e-girya se baDhi aur musibat ai 'josh'

dil ye kahta hai ki ab sar se hai uncha pani

(947) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aag Hai Aag Teri Tegh-e-ada Ka Pani In English By Famous Poet Josh Malsiani. Aag Hai Aag Teri Tegh-e-ada Ka Pani is written by Josh Malsiani. Read famous Poem Aag Hai Aag Teri Tegh-e-ada Ka Pani for youth and Student by Josh Malsiani. Free Download Aag Hai Aag Teri Tegh-e-ada Ka Pani in PDF.