Maut Ki Zad Ka KHatar Har Fard Ko Har Ghar Mein Hai

maut ki zad ka KHatar har fard ko har ghar mein hai

ye baDa ek aib ai duniya teri chausar mein hai

manzil-e-maqsud par pahunche to pahunche kis tarah

DhunDne wala umid-o-bim ke chakkar mein hai

shaiKH se kuchh zid nahin hai barhaman se kad nahin

dair o kaba donon ka jauhar mere saghar mein hai

fikr-e-imroz o gham-e-farda sarasar be-mahal

tu agar ghar mein hai to sab kuchh hamare ghar mein hai

dam-ba-KHud fitne hain un ki shoKHi-e-raftar se

ek sannaTe ka aalam arsa-e-mahshar mein hai

meri hi rudad-e-wahshat sun ke fariyaadi hain sab

chaak mere hi jigar ka daman-e-mahshar mein hai

naqsh-e-ulfat miT gaya to dagh-e-ulfat hain bahut

shukr kar ai dil ki tere ghar ki daulat ghar mein hai

is se kya matlab ki hai kis kis ke dil mein shauq-e-qatl

dekhna ye hai ki dam kitna tere KHanjar mein hai

silsila aawargi ka fahm se bahar hai 'josh'

main bhi chakkar mein hun meri aql bhi chakkar mein hai

(956) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maut Ki Zad Ka KHatar Har Fard Ko Har Ghar Mein Hai In English By Famous Poet Josh Malsiani. Maut Ki Zad Ka KHatar Har Fard Ko Har Ghar Mein Hai is written by Josh Malsiani. Read famous Poem Maut Ki Zad Ka KHatar Har Fard Ko Har Ghar Mein Hai for youth and Student by Josh Malsiani. Free Download Maut Ki Zad Ka KHatar Har Fard Ko Har Ghar Mein Hai in PDF.