Uske Har Rang Se Kyun Shoala-zani Hoti Hai

us ke har rang se kyun shoala-zani hoti hai

un ki taswir to kaghaz ki bani hoti hai

aql o mazhab ki jab aapas mein Thani hoti hai

phir to har rah-bari rahzani hoti hai

yaad aati hai jab un ki nigah-e-naz mujhe

ek barchhi mere sine pe tani hoti hai

kis tarah dur hon aalam-e-gharib-ul-watani

zindagi KHud bhi gharib-ul-watani hoti hai

phal use aae na aae ye muqaddar ki hai baat

chhanw to naKHl-e-tamanna ki ghani hoti hai

shikwe tauqir-e-mohabbat bhi hua karte hain

magar us waqt jab aapas mein bani hoti hai

main bhi pita hun mujhe is se kuchh inkar nahin

wo magar daman-e-taqwa mein chhani hoti hai

zabt-e-girya se kahin chaak na ho jae jigar

bund aansu ki bhi hire ki kani hoti hai

ek tumhaari hi nazakat hai jo hai tum pe giran

warna har phul mein nazuk-badani hoti hai

is qadar ghair hai kyun haal tumhaara ai 'josh'

kabhi dil par to kabhi dam pe bani hoti hai

(908) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Uske Har Rang Se Kyun Shoala-zani Hoti Hai In English By Famous Poet Josh Malsiani. Uske Har Rang Se Kyun Shoala-zani Hoti Hai is written by Josh Malsiani. Read famous Poem Uske Har Rang Se Kyun Shoala-zani Hoti Hai for youth and Student by Josh Malsiani. Free Download Uske Har Rang Se Kyun Shoala-zani Hoti Hai in PDF.