Daman-e-dil Se Gard-e-talluq Ko JhaDiye

daman-e-dil se gard-e-talluq ko jhaDiye

jun sarw panw bagh-e-tajarrud mein gaDiye

mumkin nahin ki dekhiye ru-e-shaguftagi

jab tak ba-rang-e-ghuncha gareban na phaDiye

jo kuchh ki hath aae uDa dijiye use

qarun ki tarah mal zamin mein na gaDiye

basti mein dil ki hirs-o-hawa ka qayam hai

taufiq ho rafiq to is ko ujaDiye

'joshish' koi hazar kare yan muKHalifat

apni taraf se to na kisi se bigaDiye

(448) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Daman-e-dil Se Gard-e-talluq Ko JhaDiye In English By Famous Poet Joshish Azimabadi. Daman-e-dil Se Gard-e-talluq Ko JhaDiye is written by Joshish Azimabadi. Read famous Poem Daman-e-dil Se Gard-e-talluq Ko JhaDiye for youth and Student by Joshish Azimabadi. Free Download Daman-e-dil Se Gard-e-talluq Ko JhaDiye in PDF.