Diwana Hun Mujhe Na Tasahul Se Bandhiye

diwana hun mujhe na tasahul se bandhiye

hathon ko KHub rishta-e-kakul se bandhiye

ahl-e-chaman ko itna pareshan na kijiye

bikhre hue ye baal hain sumbul se bandhiye

hargiz na hojiye kas-o-na-kas se multaji

is gham-kade mein dhyan tawakkul se bandhiye

ye KHub jaanta hun kasi ko karoge qatl

KHanjar kamar mein aap tajahul se bandhiye

is gulshan-e-jahan mein bad-ahd hain sabhi

bulbul yahan na ahd kisi gul se bandhiye

ahwal ek hai dil-e-wahshat-sarisht ka

ya juz se bandhiye ise ya kul se bandhiye

'joshish' tu is tarah ki zaminon mein yaad rakh

mazmun jo bandhiye so tammul se bandhiye

(786) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Diwana Hun Mujhe Na Tasahul Se Bandhiye In English By Famous Poet Joshish Azimabadi. Diwana Hun Mujhe Na Tasahul Se Bandhiye is written by Joshish Azimabadi. Read famous Poem Diwana Hun Mujhe Na Tasahul Se Bandhiye for youth and Student by Joshish Azimabadi. Free Download Diwana Hun Mujhe Na Tasahul Se Bandhiye in PDF.