Hum Hi Karte Nahin Zulfon Ko Teri Haar Pasand

hum hi karte nahin zulfon ko teri haar pasand

shaiKH sahib ko bhi aata hai ye zunnar pasand

sabza-e-KHat rahe us chehra-e-gul-rang se dur

zaKHm-e-dil ko nahin ye marham-e-zangar pasand

jaun kabe ko main kis tarah se ai waiz-e-shahr

aa gaya mujh ko to ab KHana-e-KHummar pasand

go ki sau rang gulistan mein dikhlae bahaar

na karen gul ko tere talib-e-didar pasand

jo koi dard se Tuk chashni rakhta hoga

usi ko aaenge 'joshish' mere ashaar pasand

(719) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Hi Karte Nahin Zulfon Ko Teri Haar Pasand In English By Famous Poet Joshish Azimabadi. Hum Hi Karte Nahin Zulfon Ko Teri Haar Pasand is written by Joshish Azimabadi. Read famous Poem Hum Hi Karte Nahin Zulfon Ko Teri Haar Pasand for youth and Student by Joshish Azimabadi. Free Download Hum Hi Karte Nahin Zulfon Ko Teri Haar Pasand in PDF.